Me to bus subah uthake office chali jati thi.
Mujhe nahi pata tha, kis darakht ke piche se kitani dhoop
mere ghar me ati thi,
Me to bus subah uthake office chali jati thi.
Shaam ka manjaar kya hota tha, badallo ki piche suraj ki
kirane kaise chup jati thi,
Me to bus subah uthake office chali jati thi.
Meri balcony ki fulwari me kitane phool khile hai, me kaha
gin pati thi,
Me to bus subah uthake office chali jati thi.
Garama garam khane ki khusboo, me uska luft kaha le pati
thi,
Me to bus subah uthake office chali jati thi.
Badkismati kahu ya khushkismati, kuch mahino se ghar par hu,
Subha ki shanti aur, Raat ka sukoon jee rahi hu,
Dopehra ki chai ab me apne sath pee rahi hu,
Jis ghar ko banana ke liye, me roj subah uthkar office chali
jati thi,
Aaj pehli baar us ghar me reh rahi hu.
Connect with me:
Lovely
ReplyDeleteVery true
ReplyDeleteSo true! It's Lovely!👍👌
ReplyDeletethanks for your kind words
DeleteRealization 😊👍👍
ReplyDeleteyes....the pandemic slowed us down to make us realize many things
DeleteWell penned!
ReplyDeletethanks ....
Deletethanks a lot Jayshree.
ReplyDelete