Aj kal


Yaar kabhi kitani thakaan de deti hai na zindagi. Bus kuch pal baith ke rukh ke jeene ko dil chahta hai. Fir man me dar ata hai kahi bakiyo se picke na reh jaye. Aj kal kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki agar kuch khali samay mil jaye to lagta hai pakka koi to kaam raha hoga jo me bhul rahi hu. Lagta hai kaam nai zindagi hi nipati ja rahi hai.

Ab bus yahi soch me reh jati hu ki pal jiye ya bus kat gaye. Aj kal bin chale bhi kabhi pairo me thakaan se lagti hai. Baithe baithe bhi zindagi bhagti si lagti hai. Khamoshi me bhi shor sa lagta hai. Bhid me ghutan aur akele me dar sa lagta hai.

Ab bus yahi soch me reh jati hu ki pal jiye ya bus kat gaye.

Comments

Popular posts from this blog

She Believed, She Could, So She Did - Shailaja Kumar Gupta

She Believed, She Could, So She Did - Priyanka Hansa

Two Deaths