Phir Jiyenge...

Jab me kahu tum sun lena…
Jab tum kaho me sun lungi…
Me rutho to tum mana lena…
Tab na apni baat banegi…

Haasi khushi sang ruthna manana…
Aise hi banta hai jeevan suhana…
Kabhi me lathi kabhi tum chasma…
Jeevan ke ant tak sath rahe apna…

Sara time bus baatein karenge…
Na naukri hogi na roj ki bhag daud…
Dheere dheere nikalega jindagi ka yeh mod…
Fursat se jiyenge sare jhanjhato ko chod…

Roj yaado ki potli kholenge…
Kuch pal jo jaldi jaldi me piche reh gaye honge…
Potli se nikal unhe arram se jiyenge…
Jo pal ruthane manane me akele nikal gaye…
Unhe tumhare saath fir se sanjoyege…

Jeevan ke ant me nayi shuruat karenge…
Abhi tak jindagi me kuch banne ke liye jiye…
Ab jindagi banane ki liye jiyenge…
PS: Share on ur facebook wall....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

She Believed, She Could, So She Did - Shailaja Kumar Gupta

Loving from a distance....

She believed, She Could, So She did - Minnie & Sona Thakur